sab dost chal base tu koi dushman nahi raha
khof bark se kaisa jab khirmann nahi raha
jab talak kahin se fasl_e_gul ko khabar hoti
wo yahan b aane paati mera gulshan nahi raha
dewaarain char taan dein mere khel k medaan main
ghar tu ban gya kahin aangan nahi raha
be goro kafan kho gaye sab guzre hoye lamhe
kisi laash_e_yaadgar ka koi madfan nahi raha
ek din thi mujko jis khilone ki barri aarzo
aj mil gya tu kia jab wo din nahi raha
chaman main khelta tha jis bhaghbaan k sath main
wo keh raha hai uthye k bachpan nahi raha
'Dosh' jab saknaan_e_des hi tuje humwatan nahi jante
tu kya fark tu nahi raha k watan nahi raha
(creat by---Dosh)
Dedicated to: 4 every one
Posted by: Dosh 24 January 2007
Poetry Viewed: 107
Email: dosh_dosh23@yahoo.com