aaj jo tanhaa hai woh pardes main
zaroor mujh ko us nai socha ho gaa
khuaboon aur khayaloon main
mera hee chera tarasha hoga
raah chaltay jo us ko
mera khayal aaya hoga
aik nazar ruk kai asmaan poi chaand ko dekha hoga
jub saath thay to roz he larta thaa mujh sai
ub din main so baar khud pai bigarta hoga
mail box kholtay hee naam mera dhoondta hoga
aur na pakay mujhay
aap he aap mujh sai roothta hoga
zoroor musroof hoon buhat ya koi test hai mera
taweelain ghurr kai khood he behltaa hoga
tanhaa sard raat main
yun hee sarak pai tehaltay huaay
khayalon he khayalon main
haath us nai mera thaama hoga
phir kisee pole kai neechay ruk kar
aankhon may meree us nai jhaanka hoga
phir yaqeenan
mere aankhoon main doob gaya hoga
jabhee to main ub aksar
aankhain band rakhtee hoon
kai kaheen woh bhee meray aansoon kai saath
beh na jayee
kaheen
khawab toat na jaye
Dedicated to: any one
Posted by: sohail malik/03458315539 20 March 2007
Poetry Viewed: 267
Email: sohail_malik97@hotmail.com